सोमवार, 20 जून 2011

Anna aur Baba Ramdeo ka corruption ke khilaf bolna to achhi bat hai isne pure des me corruption ke khilaf ladne ki ummid aam jan ko dikhai hai lakin ye sabhi Bharat ko corruption se mukt nhi karwa sakta hai..Bharat me corruption ke basic cause yahan ki nayi arthik niti hai jo captalist ki sewa karta hai uske capital ko badhane ke liye hota hai ,aam jan ko sirf aur sirf uske sourse ke rup me istemal karta hai..Hamme wartman ki economic policy ko badalna hoga jaha aam jan ki bate jada ho.private ki jagah public karna hoga aur aam jan ki bhagidari sunishchit karni hogi,sirf corruption ke bad punishment ke liye kanun banane se corruption ko khatm nhi kar sakte hai.Ham yuva se apil karte hai corruption ke khilaf bade andolan ki jarurat ko samjhe aur des ko bachane ke liye age ayen.